MaiN ye kis ke naam likhooN jo alam guzar rahay haiN
Meray shehar jal rahay hain, meray log mar rahay haiN
Koi guncha ho ke gul ho, koi shaakh ho shajar ho
Wo hawaa-e-gulstaan hai ke sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thi nazil issi khita-e-zamee'n par
Wohi khitta-e-zamee'n hai ke azaab utar rahay hain
Wohi taairo'n ke jhurmut jo hawa main jhooltay thay
Wo fizaa ko dekhtay hain to ab aah bhar rahay hain
BaRi aarzoo thi humko naye khwaab dekhnay ki
So ab apni zindagi main nay kwhaab bhar rahay hain
Koii aur to nahi hai pas-e-khanjar aazmaai
hamee qatal ho rahay haiN, hamee qatal ker rahay haiN
Saturday, May 02, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment